Sunday, May 6, 2012

Kashmir

Kashmir Kashmir A Paradise on Earth, perhaps, there might be none in this world who w’d not wish to visit here, where one forgets all his misery&woe. The Natural Scenic beauty of the Mountains, the Lakes here have a different tranquillity. One gets Solace of the soul and from the heart while get the feel of a different wave touching the heart. Natives of Kashmir are very innocent, Simple&are Hospitable to guests. These are not bookish but a real fact here. If someone ask a mother, whose son was killed in protests in Kashmir, A plight worse than all the beauty of Kashmir is probably nothing. Beauty of Kashmir may be a rare gift of nature and it’s spectacular scenic for the tourists from outside the world which provide them with inner pleasures, mental peace&solace but for we,the natives of Kashmir it’s as ugly and full of sorrow ! What’s the fault of the generation here ? Is that our fault to be born on this land and why are we being punished for ? Do we have to live our lives in fear&Fury forever? Do we hav to live our lives like Slaves? But why? Whose fault for we spend this life alike? Is that because of Indian Government or because of Pakistan’s government or because of our own leaders ? or because of our own reasons ? afterall who’s fault is this? Whatever is happening is all because of our own leaders who play with our lives for their own interests, why are few some in kashmir have become Applesauce of those leaders ? Why have we become the fearful ones ? Our own leader, for their own interests are misleading our young generations and exploit them to be their fore frontiers and to get killed for their interests protesting on the streets. It’s happening because we support them, why do we follow them ? Why have we become so self centered? Are we fearful for not to support them? Leaders from outside send the military forces in Kashmir for their own interests to kill us. Are we being played in their ill interests like a Puppets? Do we have to shed our lives for the interests of those leaders? Why do we allow them to rule upon us? If a leader for his own interest demands for the protests, Why do we follow them? We have no interests in the protests. What’s with them, they get money from outside without any hard work like a Laborer, on the contrarily, what’s with them who earn his bread merely for the whole day’s hard work and earn all alone for the whole family. Those Labourers get to live without food on the day because of protests. Does any leader by then help them to feed their families? Then why do we become their slaves who keep us hungry and they eat their lavish food, it’s all our fault for why we support and follow them. Some protests for the money&some protest for the enjoyment. Where is Jihad then? Those who direct us for the protests, where they hide themselves by then from the protests? Why they don’t get hurt by the bullets? Why don’t we think this? Why the poor always Die? Have you ever thought who’s fault is this? If someone dies, leaders go to their homes for Deplore&moan and not even this they exploit the miss happening by doing the protests for 4 days again for their own interests&forget the one who died . At that time it’s the family who bears the painful load of their member’s loss. If the mother of the lost son gets the freedom of the land, w’d she be happy with it? We are being played on our emotions for the sake of our freedom. Why do we let them to play with our emotions? So many young boys are being killed, are they upto kill all our phylum for their own interests? Will we not understand as yet? If our leader have so much of sympathy upon us, w’d they support us to live freely and independently? W’d they make our voice with their voice together? We want our Kashmir as a happy land only just we and our happiness. But their ill wishes w’d never make it happen. We hav to handle it by our own. We do not need any leader nor any protests nor any strikes in Kashmir. If we wanna fight, just fight against your leaders. If we find our leaders in joint hands will come on the streets like a normal person to fight for the interests of our kashmiri people. We feel those who shed their lives for the fight have gone worthy. By then if we will fight, we might get the freedom. But we all Know that this will never happen !

Monday, February 22, 2010

kashmiri boy to indian boy


MAI AISA KUW HU....
Ap kay haath mai kalam par meray haath mai pather kuw hai....Hindu
Muslim bhai bhai ka geet gatay ho aap toh kya aap is bhai ki madat
nahi karo gay....aaj aap kay bhai kay haath mai pather hai kal bandook
uthtay dair nahi lagay gi..phir naa janay kis goli pay hamara naam
likha hoga.Agar aap madat karo gay toh mai b aap he ki tarah ban
sakhta hu. kya aap meray haq k liyay nahi lado gay...America mai bomb
huwa poori duniya ko pata chala aur afsoos bhi kiya... Mumbai mai huwa
poori India hill gayi. par hamaray yaha toh roz hameesha hotay haitoh
hum pay koi afsoos kuw nahi karta. hum bhi toh insaan hai bhai jab aap
aazad ho toh mai kuw nahi...jab aap ko koi nahi marta toh hamay kuw
mara jaraha hai kya zulm kay khilaaf aawaz uthana gunah hai...Gandhi
ji nay bhi toh zulm kay khilaaf, haq kay liyay aawaz uthayi thi . jab
woh terririst nahi toh hamay yeah naam kuw diya jaaraha hai..agar
sachi mai aap kashmiriyu kay musalmanu kay bhai hotoh aap ko meri
madat karni he hogi....hum youths ko he ab kuch karna paday ga..kya
pooray india ki youth kashmir kay youth kay saath daingi...hum bhi aap
jaisa banna chahtay hai. hamay aap ka saath chahiyay.. bohat hogaya
khoon kharabaplz hum ab thak chukay haio hamay ab jeenay do...kya koi
ek bhi nahi india mai jo yeah chahta ho kashmir ko aazad kardiya
jayay....


ab shahrukh khan ki baat lailo us nay toh apni poori zindagi india mai
he guzari hai...woh toh real Indian hai. toh usay shaq ki nazar say
kuw daikha jaa raha hai...kya galti hai uski....muslim cricketer ki
taraf dilchaspi dikhayi ya muslim title rakhdiya film mai...agar (MY
NAME IS KHAN) kay badlay MY NAME IS THAKRAY hota tab toh koi problem
nahi thi....toh muslims kay saath yeah sab bartaaw kuw...is film ka
director toh hindu hai...woh b tho Indian hai jab woh shahrukh khan ko
support karta hai...ek muslim ko support karta hai toh Govt kuw nahi
...sacha Indian wahi hai jo hindi aur muslim mai koi faraq naa
karay....aur KARAN JOHAR aur SHAHRUKH KHAN ek sachay indian hai...aur
jo faraq karatay hai woh indian nahi woh toh bas isi taq mai rehtay
hai ki kab aisa koi issue ho aur woh hindu aur muslim mai ladai karwai
aur media ki nazar mai aayay....kya kashmir ko aisay india mai milna
chahtay hai ...jha muslim hona gunnah hai...jaha ek musalmaan bhai
apnay musalmaan bhai k haq kay khilaaf lad bhi nahi sakhta...jo Govt.
muslims ko sirf shaq ki nazar say daikhatay hai...un ko hum apna
kashmir kaisay daidai jo indian muslims pay shaq kartay hai...
Insha Rehmania

Sunday, February 21, 2010

Aakhir Galti Kiski





Kashmir (paradise on earth) duniya mai shayad he aisa koi hoga jo kashmir daikhna naa chahta ho,itni beautiuful jagah jaha aakay saaray apnay dukh dard bhul jatay hai. yaha kay pahad yaha ki jheelay ek alag he shanti hai inmai, inhay daikh kay ek shanti si miljati hai dil ko sakoon sa mil jata haiek ajeeb si lehar dil ko chu jati hai. yaha kay log bohat bolay seeday saaday mehmaan nawaaz hai.... YEAH SAB KITABI BAATEIN HAI ... kya sachi mai aisa hai yaha. agar kisi maa say poochay jis ka beeta bphatraw mai mara jayay shayad us ka jawaab naa he hoga. yeah kashmir bahar kay logu kay dukh dard toh duer karta hai par yaha rehnay walu kay liyay musibat ban gayi hai...kya galti hai hamari...hamaray bachu ki...humnay kashmir may janam liya isi ki saza mil rahi hai .

Kya hamay hameesha aisay he dar dar kay jeena paday ga... kya hamay hameesha gulami ki zindagi basar karni paday gi . par aisa kuw....kis ki galti ki wajha say humay yeah zindagi guzarni pad rahi hai....India ki wajah say...pakistaan ki wajhay say...ya hamay leaders ki wajhay say...ya khud humay apni wajha say...AAKHIR KIS KI GALTI HAI...yeah jo b horaha haisab hamari he wajha say ho raha hai...kuw hum kisi leader ki suntay hai...kuw hum itnay matlabi ban gayay hai...kuw hum itnay darpook ban gayay hai....hamaray leader hamaray bachu ko apnay fayiday ki wajha say sadku pay pathraw kay liyay latay hai ...bahar kay leader apnay fayiday k liyay forces ko kashmir mai hamay marnay k liyay baijhti hi....is ka matlab hum b katputli ki tarah nachtay hai aur woh b....

kya hamay hameesha kisi kay fayday kay liyay apni zindagi daini paday gi...kuw hum kisi ko apnay upar raj karnay daitay hai. agar koi leader hartaal karnay ko kehta hai toh kuw suntay hai hum unki... hamay koi hartaal nahi karna..un ka kya unhay toh bahar say bina kamayay hartaal karnay kay paisay miljatay hai par un ka kya jo din mai kamatay hai aur shaam ko khatay hai jo ek admi pooray parivaar ko khelata hai.. woh toh baicharay in hartalu ki wajha say bookhay he rehjatay hai....kya tab koi leader apnay paisu say unhay khlatay hai..toh phir kuw hum un ki gulami kartay hai jo hamay bookhay mar kay khud shahi khana khatay hai...ab idhar galti kiski...sirf aur sirf hamari jo hum unleaders ka kehna mantay hai...koi paisay kay liyay pathraw kartay hai toh koi enjoyment kay liyay...

ab jihad kidar...jo hamay pathraw karnay ko boltay hai woh khud kidar hotay hai...woh pathraw kuw nahi kartay...unhay goli kuw nahi lagti...yeah hum kuw nahi soonchtay...kuw hameesha gareeb he martay hai...kya kabhi aap nay sooncha hai ki kis ki galti hai ab..... agar koi marta hai toh marnay walay kay ghar jaa kay afsoos kartay hai yeah leader...phir char din hartaal karkay bhul jatay hai...bugatna toh hamaray ghar walu ko he padhta hai...us maa ko agar aazadi mil bhi jayay gi toh kya woh khus hogi...aazadi kay naam pay hamaray jazbatu say kheela jaaraha hai...kuw hum kisi ko khelnay daitay hai apnay jazbatu kay saath....itnay ladkay maaray gayay kya hamri nasal ko katham karrahay haiyeah leaders apnay fayday k liyay....kya ab b hi nahi samjo gay ..

agar itni he hamdardi hai in leaders ko hamri kya woh hamara saath daingay...kya woph hamay india aur pakistaan ko baijhna band karangay...kya woh un ki gulami chod k hamari awaz mai awaz milayangay...hamay sirf kashmir chahiyay..naa pakistaan naa india..basa hum aur hamari khushiya...par woh aisa kabhi nahi karayngay...hamay khud he sambhalna hoga...hamay koi leader nahi chahiyay..naa koi pathraw naa hartaal...agar ladna he hai toh pehlay apnay he leaders kay khilaaf lado...jab hamaray leaders hamaray saath sadku pay ek aam insaan ki tarah apnay kashmiri logu k haq k liyay ladtay huway nazar aayangay ..shayad tab hamaray bhaiyu ki kurbaani zaya nahi hogi...tab agar hum ladangay bhi toh shayad aazadi mil bhi jayay gi par hum sab ko pata hai ki yeah kabhi nahi hoga...

- Insha Rehmani

Saturday, February 20, 2010

Welcome to My World


Hi all,
Welcome to My World, the World of Pari's :) !

Regards,
Insha Rehmani