Kashmir (paradise on earth) duniya mai shayad he aisa koi hoga jo kashmir daikhna naa chahta ho,itni beautiuful jagah jaha aakay saaray apnay dukh dard bhul jatay hai. yaha kay pahad yaha ki jheelay ek alag he shanti hai inmai, inhay daikh kay ek shanti si miljati hai dil ko sakoon sa mil jata haiek ajeeb si lehar dil ko chu jati hai. yaha kay log bohat bolay seeday saaday mehmaan nawaaz hai.... YEAH SAB KITABI BAATEIN HAI ... kya sachi mai aisa hai yaha. agar kisi maa say poochay jis ka beeta bphatraw mai mara jayay shayad us ka jawaab naa he hoga. yeah kashmir bahar kay logu kay dukh dard toh duer karta hai par yaha rehnay walu kay liyay musibat ban gayi hai...kya galti hai hamari...hamaray bachu ki...humnay kashmir may janam liya isi ki saza mil rahi hai .
Kya hamay hameesha aisay he dar dar kay jeena paday ga... kya hamay hameesha gulami ki zindagi basar karni paday gi . par aisa kuw....kis ki galti ki wajha say humay yeah zindagi guzarni pad rahi hai....India ki wajah say...pakistaan ki wajhay say...ya hamay leaders ki wajhay say...ya khud humay apni wajha say...AAKHIR KIS KI GALTI HAI...yeah jo b horaha haisab hamari he wajha say ho raha hai...kuw hum kisi leader ki suntay hai...kuw hum itnay matlabi ban gayay hai...kuw hum itnay darpook ban gayay hai....hamaray leader hamaray bachu ko apnay fayiday ki wajha say sadku pay pathraw kay liyay latay hai ...bahar kay leader apnay fayiday k liyay forces ko kashmir mai hamay marnay k liyay baijhti hi....is ka matlab hum b katputli ki tarah nachtay hai aur woh b....
kya hamay hameesha kisi kay fayday kay liyay apni zindagi daini paday gi...kuw hum kisi ko apnay upar raj karnay daitay hai. agar koi leader hartaal karnay ko kehta hai toh kuw suntay hai hum unki... hamay koi hartaal nahi karna..un ka kya unhay toh bahar say bina kamayay hartaal karnay kay paisay miljatay hai par un ka kya jo din mai kamatay hai aur shaam ko khatay hai jo ek admi pooray parivaar ko khelata hai.. woh toh baicharay in hartalu ki wajha say bookhay he rehjatay hai....kya tab koi leader apnay paisu say unhay khlatay hai..toh phir kuw hum un ki gulami kartay hai jo hamay bookhay mar kay khud shahi khana khatay hai...ab idhar galti kiski...sirf aur sirf hamari jo hum unleaders ka kehna mantay hai...koi paisay kay liyay pathraw kartay hai toh koi enjoyment kay liyay...
ab jihad kidar...jo hamay pathraw karnay ko boltay hai woh khud kidar hotay hai...woh pathraw kuw nahi kartay...unhay goli kuw nahi lagti...yeah hum kuw nahi soonchtay...kuw hameesha gareeb he martay hai...kya kabhi aap nay sooncha hai ki kis ki galti hai ab..... agar koi marta hai toh marnay walay kay ghar jaa kay afsoos kartay hai yeah leader...phir char din hartaal karkay bhul jatay hai...bugatna toh hamaray ghar walu ko he padhta hai...us maa ko agar aazadi mil bhi jayay gi toh kya woh khus hogi...aazadi kay naam pay hamaray jazbatu say kheela jaaraha hai...kuw hum kisi ko khelnay daitay hai apnay jazbatu kay saath....itnay ladkay maaray gayay kya hamri nasal ko katham karrahay haiyeah leaders apnay fayday k liyay....kya ab b hi nahi samjo gay ..
agar itni he hamdardi hai in leaders ko hamri kya woh hamara saath daingay...kya woph hamay india aur pakistaan ko baijhna band karangay...kya woh un ki gulami chod k hamari awaz mai awaz milayangay...hamay sirf kashmir chahiyay..naa pakistaan naa india..basa hum aur hamari khushiya...par woh aisa kabhi nahi karayngay...hamay khud he sambhalna hoga...hamay koi leader nahi chahiyay..naa koi pathraw naa hartaal...agar ladna he hai toh pehlay apnay he leaders kay khilaaf lado...jab hamaray leaders hamaray saath sadku pay ek aam insaan ki tarah apnay kashmiri logu k haq k liyay ladtay huway nazar aayangay ..shayad tab hamaray bhaiyu ki kurbaani zaya nahi hogi...tab agar hum ladangay bhi toh shayad aazadi mil bhi jayay gi par hum sab ko pata hai ki yeah kabhi nahi hoga...
- Insha Rehmani
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete